Wednesday 19 April 2017

Tum kehte ho ki tum kehte ho

Tum kehte ho ki tum kehte ho,
Bas mai sunti nhi...
Raaz ki baat batau...
Sunti to hu, bas itlaa karti nhi...
Man hi mann muskura leti hu,
Tasleem karti nhi...
Dil laalchi h mera, jaanti hu.. bas maanti nhi...


Wo tumhari nazarein mujh pr tik jana,
Sunai deti h tareef usme...
Wo baat kehte kehte yuhi aankho me doob jana
Guma karta h mujhe...
Sunti to hu, bas itlaa karti nhi...
Man hi mann muskura leti hu,
Tasleem karti nhi...
Dil laalchi h mera, jaanti hu bas maanti nhi...


Dekhte h sab tumhe meri or dekhte hue
Pr unhe nhi sunai deti humari baatein
Logo ki fikr kr jb nazare hata dete ho mujhse
Tb bhi sunai deti h tumhare dil ki aahatein...
Sunti to hu, bas itlaa karti nhi...
Man hi mann muskura leti hu,
Tasleem karti nhi...
Dil laalchi h mera, jaanti hu bas maanti nhi...


Meri bachkani harkato pr tumhare hoto k kone ki hasi sunai deti h mujhe
Aankho me tumhari, meri natkhat chhavi dikhayi deti h mujhe
Wo muskaan bht kuch keh jati h mujhse
Sunti to mai sab hu, bas itlaa karti nhi
Man hi mann muskura leti hu,
Tasleem karti nhi...
Dil laalchi h mera, jaanti hu bas maanti nhi....


Tumhare naraaz hone ka andaaz khoob jaanti hu
Nazar chura kr jo na kehna chahte ho, khood sunti hu...
Jaanti hu darte ho tum ki kahi mai tumhari nazaro me gussa na dekh lu
Mujhse chhupate ho?
Jaante nhi rishta aisa h humara
ki apne aansu tumhari aankho se nikaal du....

Lafz nhi chahti hu, alfaaz mai jaanti hu
Tum sab nazaro se keh dete ho,
Ye Baat mai maanti hu...
Dil laalchi hai mera,
nazaro k alfaaz sunn kr bhi lafz dhundta h
Nazaro se megha barasne par bhi,
ise intzaar alfaas ki boond ka h...

Tum kehte ho ki tum kehte ho
Par mai sunti nhi....
Fikr na karo, sunti to hu bas itlaa karti nhi
Man hi mann muskura leti hu,
Tasleem karti nhi...
Dil laalchi h mera, jaanti hu.. bas maanti nhi....

Thursday 6 April 2017

मैं कुछ कहता नही

Tum kahti ho ki me kch khta nahi,
Agar smjho kbhi to smjhogi
Ki tumne shayad ye suna nahi

Kya nhi sunai deti wo tumhari tareef
Jb Yun he Bina kaaran dekhta hu tumhari taraf
Aur fir Nazare wahi tik jati h
Bhool jata hu ki aur b h aas pass
Jo dekh rahe hoge mujhe,
Tumhe Yun dekhte hue

Tum kahti ho ki me kch khta nahi,
Agar smjho kbhi to smjhogi
Ki tumne shayad ye suna nahi

Kya Meri awaz tumhe tb bhi nhi sunai dete
Jb chup kr bas Yun he ankho k kinaro se dekhta hu tumhe
Tumhari shararato aur bachkani baato pr
Hotho k kono pr jo hasi aa jati h mere
Kya wo bhi tum se Kuch nahi kahti ?

Tum kahti ho ki me kch khta nahi,
Agar smjho kbhi to smjhogi
Ki tumne shayad ye suna nahi

Wo gussa he to h jb me Bina nazar milaye baat krta hu tumse
Qki tum pr naraaz hua to kaise nazar milaunga khud se
Wo parwaah he to h Jo bewajah tumhare sath chal deta hu
Jb kbhi tumhara chehra udas dikhta h
Aur Tum kahti ho ki me kch khta nahi,
Agar smjho kbhi to smjhogi
Ki tumne shayad ye suna nahi
Lafz alag h, alfaaz alag h
Par baato k maayne wahi h
Shado ka shor nahi h, awaz ka zor nhi h
Par agar jaano to, ehsaas wahi h
Agar wo ankaha ansuna suno
To tum nahi kahogi
Ki me Kuch khta nahi.