Wednesday, 10 January 2018

Shaam aur Ehsaas

Jaise jaise ye shaam surkh gulaabi se kaali raat me tabdeel hoti h,
waise he tumhari yaadien na Jane kaha se ghumad aati h.
Jaise chidiya ka koi jhund h Jo Suraj k dhalte he,
wapas us ped par ja Raha ho jaha unke ghosle h.
Jaise school ki discplined time k baad,
koi bachha fir shararati hone Wala ho.
Jaise in yaado ka mujh par koi waajeeb haq ho,
ya fir jaise Inka yaha koi mulk ho.
Ye Mann Jo itna shaant Raha din me,
wo aese bebas sa ho jata h.
Dhadkano ka tez hona na sirf mahsoos hota h,
balki sunai bhi Dene lagta h.
Aese lagta h ki me Mera Hoon he nahi,
koi aur he h Jo mujhe niyantrit kiye hue h.
Ehsaaso me jaise jwar bhaate aana shuru ho jata h,
maano ki chaand ka gurutatva akarshan kheech Raha ho inhe bhi.
Ji karta h ki jaise bhi,
jitna bhi jaldi ho,
bas tum Tak pahuch jau.
Duniya se alag Kar k tumhe,
kheech Kar bhar lu baaho me.
Aese pakadu tumhe ki Tum,
mom c pighal Kar mujhme he kahi rah jao.
Saaya bhi tumhara kisi ko na du me.
Jaise ki bas Tera hona he kaafi h mere hone k liye.
Aur ye ehsaas, ye bhaav raat bhar yun he shor machaate rhte h.